1
bus nazron se dekh liya hota,
bus nazron se dekh liya hota,
agar tamanna thi daraane ki,
hum yun hi behosh ho jate,
kya zaroorat thi muskurane ki...............
2
Woh ladki kitni pyaari thi,
jis ko aankh maari thi
Woh sendal kitni bhaari thi,
jo us ney sar per maari thi
3
Tumko dekha.... !!
tumko dekha....to yeh khayal aaya
paaglon ke stock mein naya maal aaya!
4
Tumsa koi dusara jameen par hua
to rab se sikayat hogi....
Ek to jhella nahi jata
dusra aa gaya to kya halat hogi!!!
5
Uss ne mere dil mei jgah to bna li,
mane b uski tasvir apne dil mei sakali,
wo mujse aise hi ruth gye,
fir maine b uski dusri behan fassa li.
6
Aahat se koi aaye to lagta hai ki tum ho
Hawa agar leharaye to lagta hai ki tum ho
Ab tum hi batao kya tum kisi BHOOT se kam ho??
7
Kabhi kehtey they dost hamarey
Ki jaan bhi maango to haazir hai
Aaj apni bivi ko jaan kehtey hai
Aur maango toh inkaar kartey hai
8
Baandh le 2-4 botal kafan mein
Kabar me baith ke piya karenge
Jab mangega uparvala hisaab gunahon ka
1-2 peg usey bhi diya karenge
9
Jara apne chehare se julfe to haton jaani

Hum bhi to dekhe tumahri daanyi aankh kaani ya baanyi aankh kaani
10
Suraj Hua Madham,
chand bhi chalne laga,
mein thehra raha,
zamin chalne lagi,
sajna kya yehi pyaar hai ??
Nalayak, yeh pyar nahi EARTHQUAKE hai !
Kucch aansoo jo mere thum na payee
Zi ndagi ke saath chalte rehe har pal mere saaye
Maine manga tha roshani ka chiraag
Aur andhere mujhe ujalon mein nazar aaye
--------------------------------------------------------------------------------
Yeh pyar murauvat yeh ekhlaas wafadari
Lafjon ki tijarat hai lafjon ki kharidari
-------------------------------------------------------------------------------
Aisa lagta hai har imtehan ke liya
Zindagi ko hamara pata de diya hai
--------------------------------------------------------------------------------
Yeh kya ki chand kadam chal ke laut jayenge
Hamare saath jo chaliye to umra bhar chaliye
--------------------------------------------------------------------------------
Mein jiske hath main ek phool de ke aaya tha
Usi ke hath ka pathar meri talash main hai
--------------------------------------------------------------------------------
Dikha reha hai woh baccho ko khwab mehalo ka
Khareed ke jo khilone bhi de nahi sakta
--------------------------------------------------------------------------------
Mere rone ka jisme kissa hai
Umra ka behatareen hissa hai
--------------------------------------------------------------------------------
Maut ka ilaaj ho shayad
Zindagi ka koi ilaaj nahi
--------------------------------------------------------------------------------
Chaand kaliyan nishat ki chunkar muddaton mah beaas rehta hoon
Tumse milna khushi ki baat sahi tumse milkar uddas rehta hoon
--------------------------------------------------------------------------------
Jo bus chalta to duniya chheen leti zindagi meri
Hum to zinda hai to zeene ka hunar rakhte hain
--------------------------------------------------------------------------------
Waqt ne mujhse tassavur bhi ccheen liya
Kaise ujda tha chaman yeh bhi to ab yaad nahi
--------------------------------------------------------------------------------
Par haqiqat mein saath kehan milta hai
Jiska armaan ho woh khwab sa hi dikhta hai
--------------------------------------------------------------------------------
Kuchh aansoo jo mere thum na paye
Zindagi ke saath chalte rahe har pal mere saye
Maine managa tha roshini ka chirag
Aur andhere mujhe ujalon mein nazar aaye
--------------------------------------------------------------------------------
Zindagi main to musafir hoon teri kashti ka
Tu jehan mujhse kehegi mein utar jaoonga
--------------------------------------------------------------------------------
Poochh kar mera pata wakht ko barbaad na kar
Main to banjara hoon na jane kidhar jaoonga
-------------------------------------------------------------------------------
Phool reh jayenge guldano mein yadon ki nazar
Mein to khushboo hoo fazaon mai bikhar jauanga
-------------------------------------------------------------------------------
Etna tuta hoon ki chhune se bikhar jauanga
Ab agar aur dua doge to mar jauanga
-------------------------------------------------------------------------------
wafa, ehlaas, rasmo raah humdardi ravadaar
Yeh jitni bhi hai sab e dost insano ki baat hai
--------------------------------------------------------------------------------
Rehbaron ne ddor kar de rehjano ki mushkilen
Karwan manzil pe lut jaate hai aasani ke saath
--------------------------------------------------------------------------------
Mohabbat ho kisi se ya adavat
Maza de jayegi jo dil se hogi
--------------------------------------------------------------------------------
E meri dharati lahoo kistoon mein leti ja rahi hai
Ek na ek din karz tera sub ada ho jayega
--------------------------------------------------------------------------------
Pyar ka jazba bhi kya khwab dikha deta hai
Ajnabi chehre ko mehboob bana deta hai
--------------------------------------------------------------------------------
Kai meel ret ki kat ke koi mauz phool khila gayee
Koi ped pyaas se mar reha hai nadi ke paas kada hua
--------------------------------------------------------------------------------
Bewakht agar jaoonaga sab chauk padenge
ek umra hui din mein kabhi ghar nahi dekha
-------------------------------------------------------------------------------
Zulfe shub nahakate gul mauze saba gesuye yaar
Sab pareshaan hai kis kis ko sawara jaye